Tuesday, November 19, 2013

18 ooth ki khoj


Ek baap ke teen bete the or uske pass 17 ooth the. Jab unke baap ki maut hui tabh uski vasiyat kholi gayi. Us vasiyat mein likha tha ke mere sabse bade bete ko aadhe ooth de diye jaye. Bheech wale bete ko 1/3 ooth de diye jaaye or jabse chotte bete ko 1/9 ooth de diyte jaye. Ab ooth the 17 or usko 9 ne bagh karna muskil tha so unho ne buhat socha magar koi natija haath mein nahi aaya. Phir teeno bhai ek samajahdar ke pass gaye usne kafi socha phir aapna ooth le aaya is tarah ooth ki ginti 18 ho gayi. Ab usne 1/2 ooth bade bete ko yani ke 9 bade bete ko de diye or 1/3 hisa yani ke 6 beech wale bete ko de diye or 1/9 hisa yani ke 2 ooth chotte bete ko de diye is tarah 9+6+2=17 ooth bat gaye or 18 no. ka ooth us budiman insaan ka tha.

No comments:

Post a Comment