Tuesday, November 19, 2013

18 ooth ki khoj


Ek baap ke teen bete the or uske pass 17 ooth the. Jab unke baap ki maut hui tabh uski vasiyat kholi gayi. Us vasiyat mein likha tha ke mere sabse bade bete ko aadhe ooth de diye jaye. Bheech wale bete ko 1/3 ooth de diye jaaye or jabse chotte bete ko 1/9 ooth de diyte jaye. Ab ooth the 17 or usko 9 ne bagh karna muskil tha so unho ne buhat socha magar koi natija haath mein nahi aaya. Phir teeno bhai ek samajahdar ke pass gaye usne kafi socha phir aapna ooth le aaya is tarah ooth ki ginti 18 ho gayi. Ab usne 1/2 ooth bade bete ko yani ke 9 bade bete ko de diye or 1/3 hisa yani ke 6 beech wale bete ko de diye or 1/9 hisa yani ke 2 ooth chotte bete ko de diye is tarah 9+6+2=17 ooth bat gaye or 18 no. ka ooth us budiman insaan ka tha.

Dost hi dost ke kaam aata hai


Ek baar ek Jaungle mein ek Sher rehta tha. Ek din buhat sara Kahana Kha kar Sher ped ke niche so raha tha. Kuch Samay baad ek cucha aaya or sher ke uper khelne laga. Sher ki neend khuli or dekha ke chuha maze se khel raha hai sher dekh kar buhat gussa aaya or chuhe ko pakad liya. Chuhe ne buhat minnate ki mujhe chod do mein kisi din kam aaunga aagar mujhe mar doge toh aap ko kya milega sher ko daya aa gayi or chuhe ko chod diya. Agle hi din sher shikari ke jaal mein fas gaya sher buhat garja magar koi madad ke liye nahi aaya. Tabhi us chuhe ne sher ki aawaz suni or jaldi se usne aapne danto se Jaal Kat diya or sher ko aazad karva diya. Uske baad dono aache dost ban gaye or hassi khushi rehne lage. Moral of Story is:- Dost hi dost ke kaam aata hai

Aapaas key foot bahaut boori hoti hai dusre iska faida utha sakte hai


Do billiyan thee. Wah aapas mein bahaut pyar say rahatee thi. Oonhay jo kuch milta tha, usse aapus mein baantkar khaya karti thee.Ek din oonhay ek roti milli. Usse barabar - barabar baantay samay oonmay jhagada ho gaya. Ek billi ko apni roti ka tukda doosri billi ke roti kay tukday say chotta lagga. Parantu doosri biili ko apni roti ka tukda chotta nahi lagga. Jab dono billiyan kissi samjhotay par nahi pahonch payi toh dono billiyan ek bandar kay paas gayi. Oonhonay bandar ko sari baat batayi aur ussay nayay karnay kay leeyay kaha. Sari baat sunkar bandar ek taraju le kar aaya aur dono tukaday ek-ek paldhay mein rakh deeyay. Tohltay samay jo paldha bhari hua, uss wali tarf say ussne thodi see roti todhkar apne muh mein daal lee. Ab doosri taraf ka paldha bhari ho gaya, toh bandar nay uss tarf say roti todhkar apne muh mein daal lee. Ess tarah bandar kabhi ess taraf say toh kabhi uss tarf say roti jayada hone ka kahkar roti todhkar apne muh mein daa layta. Dono billiyan chupchap bandar kay phaysalay ka intezar karti rahin. Parantu jab dono billiyon nay dekha key dono tukday bahaut chottay-chottay raha gaye tu wah bandar say bolli - " Aap chinta na karay hum apne aap baantwara kar lengi." Ess par bandar bola - " Jaisa aap theek samjho, parnatu mujhe bhi apni mehnat ki mazdoori milani chahiya." Itna kahkar bandar nay roti kay bachay huay dono tukday apne muh mein bhar leyay aur billiyon ko wahan say bhaga diya. Dono billiyon ko apni galti ka bahaut dukh hua aur oonhay samajh mein aa gaya key - Aapaas key foot bahaut boori hoti hai aur dusre eska phayada ootha saktay hai.

Sunday, November 17, 2013

Hamesha Dusro ki Baat Nahi Sunte samajhdari se kaam lena chahiye


Ek baar ek Aadmi or ladka ek Gadhe ke saath saath Paidal Paidal Ja rahe the. Aadmi ka kuch Jayada Motta tha thabi woh kuch logo ke pass mein se gujre toh log unko dekh kar bole dekho kaise murkah log hai gadhe ke saath Paidal ja rahe hai. Yeh sun kar woh dono Gadhe ke upper chad gaye. Kuch dur gaye tabhi ek gaon mein se gujre toh pass mein se khade log bole dekho kaise log hai ek bechare gadhe pe kaise zulam kar rahe hai dono us gadhe pe savar hai. Tabhi us ladke ka baap gadhe mein se uttar gaya or ladke ko baitha kar saath mein paidal jane lag gaya. Kuch dur gaye phir ek aurat unko dekh kar boli dekho kaisa zamana aa gaya hai ladka rajkumar ki tarah baitha hai or baap paidal paidal ja raha hai yeh sun kar ladka gadhe se uttar gaya or baap gadhe par chad gaya or ladka saath mein paidal jane laga. Kuch dur gaye tabhi kuch log dekh kar bole dekho kaisa zamana aa gaya hai baap aaram se baitha hai bete ko paidal paidal le ke ja raha hai. Yeh sun kar baap gadhe se utra or dono ne gadhe ko pairo se bandh kar lakdi se utha liya.Kuch dur gaye toh kuch budhe log khade the baap bete ko gadha uthae dekh kar has pade or bole dekho ke kya yeh gadha langda hai ya bimar hai jo utha ke le kar ja rahe ho toh ladke ke baap ne saari kahani batai. Toh ladke ke baap ne raste ki saari kahani batai toh sabse samajhdar budhe ne bola ke galti tumhari hai sabh ke baate puri nahi ki jaa sakti so samajhdari se kaam lena chahiye.

Laalach buri Bala Hai


Ek Shahaid bechne wala Vyaopari that. Ek din vyoari apne grahak ko shahaid baich raha tha. Tabhi vyopari ke haath say shahaid ghir gaya. Vyopari ne kuch upar se shahaid utha liya magar kuch zammen pe hi reh gaya. Kuch hi der mein buhat sari makhiyan waha shahaid ka maza lene aa gayi. Makahiyon ne khoob pet bhar kar shahaid khaya. Jab Makhiyon ka pet bhar gaya or udne ke liye tyaar hui tabhi unko ehsas hua ke unke pair shahaid pe chipak gaye hai or woh jitni jayada koshish karti unke pankh uthne hi shahaid se chaipkate jaate or kuch makhiayan wahi pe mar gayi. Buhat saari Makhiyan wahi chipke pankho se wahi chattpatati rahi. Magar tabhi waha pe or Makhiyan aa gayi. mari hui Makhiyan dekh kar bhi unko ehsas nahi hua ke onka haal bhi aisa ho sakta hai.or unka haal bhi aisa hi hua or buhat si or Makhiyan mar gayi. Yeh sabh dekh kar Vayopari ko ehsas hua ke jo log jeebh kay swad nein padd jatte hai, wah un maakiyon kay samaan he moorakh hotay hain. Is liye toh kehte hai ke lalach buri bala hai or dusro ko dekh kar seekh lo.